Jump to content

baat:India

Page contents not supported in other languages.
Wikipedia se

Ek chhoti si galati - India ki Capital City ke bare men

[source ke badlo]

India ("Bharat" tatha "Bharat Ganarajya") ki rajdhani (capital city) Delhi (Hindi men "Dilli") nahin hae (jaise ki is panne men bataya hae), balki New Delhi (Hindi men "Nayi Dilli") hae.

Delhi ek purana shahr hae, jo Mughal Saltanat ka capital city hua karta tha. Angrez hukoomat ne India ka capital city Kolkata (Calcutta) se badalne ka jab tay kiya, tab Delhi ke baahar ek naya shahr basaya, aur jiska naam New Delhi rakha. Lekin Delhi aur New Delhi donon geographically mile-jule hone ke baawajood officially alag-alag shahr haen.

- --65.193.122.129 23:01, 1 February 2010 (UTC)